be-KHudi

do saundhe saundhe se jism jis waqt
ek mutthi mein so rahe the
labon ki maddham tawil sargoshiyon mein sansen ulajh gai thin
munde hue sahilon pe jaise kahin bahut dur
thanda sawan baras raha tha
bas ek ruh hi jagti thi
bata tu us waqt main kahan tha?
bata tu us waqt tu kahan thi?

aaghaz

kin khayalat mein yun rahti ho khoi khoi
chae ka pani patili mein ubal jata hai
rakh ko hath lagati ho to jal jata hai
ek bhi kaam saliqe se nahin ho pata
ek bhi baat mohabbat se nahin kahti ho
apni har ek saheli se khafa rahti ho
raat bhar nawilen padhti ho na jaane kis ki
ek jampar nahin si pai ho kitne din se
bhai ka hath bhi ghusse se jhatak deti ho
mez par yun hi kitabon ko patak deti ho
kin khayalat mein yun rahti ho khoi khoi

nakara

kaun aaya hai
koi nahin aaya hai pagal
tez hawa ke jhonke se darwaza khula hai
achchha yun hai
bekari mein zat ke zakhmon ki sozish ko aur badhane
tez-rawi ki rahguzar se
mehnat-kosh aur kaam ke din ki
dhul aai hai dhup aai hai
jaane ye kis dhyan mein tha main
aata to achchha kaun aata
kis ko aana tha kaun aata

gahe gahe bas ab yahi ho kya

gahe gahe bas ab yahi ho kya
tum se mil kar bahut khushi ho kya
mil rahi ho bade tapak ke sath
mujh ko yaksar bhula chuki ho kya
yaad hain ab bhi apne khwab tumhein
mujh se mil kar udas bhi ho kya
bas mujhe yunhi ek khayal aaya
sochti ho to sochti ho kya
ab meri koi zindagi hi nahin
ab bhi tum meri zindagi ho kya
kya kaha ishq jawedani hai!
aakhiri bar mil rahi ho kya
han faza yan ki soi soi si hai
to bahut tez raushni ho kya
mere sab tanz be-asar hi rahe
tum bahut dur ja chuki ho kya
dil mein ab soz-e-intizar nahin
sham-e-ummid bujh gai ho kya
is samundar pe tishna-kaam hun main
ban tum ab bhi bah rahi ho kya

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close