ab garm KHabar maut ke aane ki haiShayari By Meer Anees01 Jan 2017 12:30:00 PMRubaaiab garm khabar maut ke aane ki hai ghafil tujhe fikr aab-o-dane ki hai hasti ke liye zarur ek din hai fana aana tera dalil jaane ki hai Continue Reading... Share on:
aafat-o-hawadis se bhari hai duniyaShayari By Akhtar Ansari01 Jan 2017 12:30:00 PMRubaaiaafat-o-hawadis se bhari hai duniya dukhdon se gharaz pati padi hai duniya zinhaar talli nahin mera ye qaul mere hi liye khalq hui hai duniya Continue Reading... Share on:
ai raunaq-e-lala-zar wapas aa jaShayari By Josh Malihabadi01 Jan 2017 12:30:00 PMRubaaiai raunaq-e-lala-zar wapas aa ja ai daulat-e-barg-o-bar wapas aa ja aise mein ki nau-bahaar hai khuld-ba-dosh ai nazish-e-nau-bahaar wapas aa ja Continue Reading... Share on:
ab jazba-e-wahshat ki qasam mat khaoShayari By Baqar Mehdi01 Jan 2017 12:30:00 PMRubaaiab jazba-e-wahshat ki qasam mat khao rah rah ke mohabbat ki qasam mat khao aankhon ki chamak khol na de sara bharam khud apni sadaqat ki qasam mat khao Continue Reading... Share on:
aati hai to khilti hai gulabon ki tarahShayari By Qateel Shifai01 Jan 2017 12:30:00 PMRubaaiaati hai to khilti hai gulabon ki tarah deti hai nasha tund sharabon ki tarah lekin koi dekhe ye jawani ka maal bikhri hai padhi hui kitabon ki tarah Continue Reading... Share on:
aalam-o-masaib mein giraftar sahiShayari By Baqar Mehdi01 Jan 2017 12:30:00 PMRubaaiaalam-o-masaib mein giraftar sahi ek johd-e-musalsal ka saza-war sahi kya samjhenge ahbab tabahi meri main lakh baghawat ka gunahgar sahi Continue Reading... Share on:
aata nahin sanson mein maza pine kaShayari By Akhtar Ansari01 Jan 2017 12:30:00 PMRubaaiaata nahin sanson mein maza panne ka khilta hi nahin zakhm mere sine ka har roz agar ek rubai na kahun hota nahin haq jaise ada jine ka Continue Reading... Share on:
aankhen hain ki paigham mohabbat waleShayari By Firaq Gorakhpuri01 Jan 2017 12:30:00 PMRubaaiaankhen hain ki paigham mohabbat wale bikhri hain laten ki nind mein hain kale pahlu se laga hua hiran ka bachcha kis pyar se hai baghal mein gardan dale Continue Reading... Share on:
aawaz pe sangit ka hota hai bharamShayari By Firaq Gorakhpuri01 Jan 2017 12:30:00 PMRubaaiaawaz pe sangit ka hota hai bharam karwat leti hai narm lai mein sargam ye bol surile thartharaati hai faza an-dekhe saz ka khanakna paiham Continue Reading... Share on:
ab zer-e-qadam lahad ka bab aa pahunchaShayari By Meer Anees01 Jan 2017 12:30:00 PMRubaaiab zer-e-qadam lahad ka bab aa pahuncha hushiyar ho jald waqt-e-khwab aa pahuncha piri ki bhi dopahar dhali aah 'anis' hangam-e-ghurub-e-aftab aa pahuncha Continue Reading... Share on:
afsos sharab pi raha hun tanhaShayari By Josh Malihabadi01 Jan 2017 12:30:00 PMRubaaiafsos sharab pi raha hun tanha ghalatan-ba-subu tamam khun-e-fan-ha thithuri hui saghar mein nazar aati hai sahba razi-allaho-taala-anha Continue Reading... Share on:
ai dil jo ye aankh aaj laDai usneShayari By Nazeer Akbarabadi01 Jan 2017 12:30:00 PMRubaaiai dil jo ye aankh aaj ladai us ne aur pal mein lada ke phir jhukai us ne apni bebaki aur haya ki khubi thi hum ko dikhani so dikhai us ne Continue Reading... Share on:
ai mani-e-kainat mujh mein aa jaShayari By Firaq Gorakhpuri01 Jan 2017 12:30:00 PMRubaaiai mani-e-kainat mujh mein aa ja ai raaz-e-sifat-o-zat mujh mein aa ja sota sansar jhilmilate tare ab bhig chali hai raat mujh mein aa ja Continue Reading... Share on:
afsurda faza pe jaise chhaya ho hirasShayari By Firaq Gorakhpuri01 Jan 2017 12:30:00 PMRubaaiafsurda faza pe jaise chhaya ho hiras duniya ko koi hawa bhi aati nahin ras dubi jati ho jaise nabz-e-kaunain jis baat pe husn aaj itna hai udas Continue Reading... Share on:
aazadi-e-fikr o dars-e-hikmat hai gunahShayari By Josh Malihabadi01 Jan 2017 12:30:00 PMRubaaiaazadi-e-fikr o dars-e-hikmat hai gunah dana ke liye nahin koi ja-e-panah is azhdar-e-tahzib ke farzand-e-rashid ye mazhab o qanun ayazan-billah Continue Reading... Share on:
ab KHwab se chaunk waqt-e-bedari haiShayari By Meer Anees01 Jan 2017 12:30:00 PMRubaaiab khwab se chaunk waqt-e-bedari hai le zad-e-safar kuch ki tayyari hai mar mar ke pahunchte hain musafir wan tak ye qabr ki manzil bhi ghazab ki bhaari hai Continue Reading... Share on:
ab walwale ishq ke tamanna mein nahinShayari By Sufi Tabassum01 Jan 2017 12:30:00 PMRubaaiab walwale ishq ke tamanna mein nahin majnun koi justuju-e-laila mein nahin jaane guzre hain kis tarah se rah-rau ek naqsh-e-qadam bhi reg-e-sahra mein nahin Continue Reading... Share on:
aasar-e-zawalShayari By Altaf Hussain Hali01 Jan 2017 12:30:00 PMRubaaiaaba ko zamin o mulk par itminan aulad ko sasti ye qanaat ka guman bachche aawara aur be-kar jawan hain aise gharane koi din ke mehman Continue Reading... Share on:
aala rutbe mein har bashar se payaShayari By Meer Anees01 Jan 2017 12:30:00 PMRubaaiaala rutbe mein har bashar se paya afzal unhen khizr-e-rahbar se paya ye dar jo na milta to bhatakte phirte jannat ka pata ali ke ghar se paya Continue Reading... Share on:
ab hind ki zulmat se nikalta hun mainShayari By Meer Anees01 Jan 2017 12:30:00 PMRubaaiab hind ki zulmat se nikalta hun main taufiq rafiq ho to chalta hun main taqdir ne bediyan to kati hain 'anis' kyun ruk gae panw hath malta hun main Continue Reading... Share on:
ai baKHt-e-rasa su-e-najaf rahi karShayari By Meer Anees01 Jan 2017 12:30:00 PMRubaaiai bakht-e-rasa su-e-najaf rahi kar mujh zar ko zair-e-yad-ul-lahi kar le ja su-e-karbala meri musht-e-ghubar ai baad-e-saba itni hawa-khwahi kar Continue Reading... Share on:
aflas achchha na fikr-e-daulat achchhiShayari By Jagat Mohan Lal Ravan01 Jan 2017 12:30:00 PMRubaaiaflas achchha na fikr-e-daulat achchhi jo dil ko pasand ho wo haalat achchhi jis se islah-e-nafs na-mumkin ho us aish se har tarah musibat achchhi Continue Reading... Share on:
aashob-e-zamana se hai Darna kaisaShayari By Obaidur Rahman01 Jan 2017 12:30:00 PMRubaaiaashob-e-zamana se hai darna kaisa buzdil ki tarah shikwa hai karna kaisa marna to bahar-haal hai ek rose 'obaid' marne se magar pahle hi marna kaisa Continue Reading... Share on:
aadam ko ye tohfa ye hadiya na milaShayari By Meer Anees01 Jan 2017 12:30:00 PMRubaaiaadam ko ye tohfa ye hadiya na mila aisa to kisi bashar ko paya na mila allah-ri latafat-e-tan-e-pak-e-rasul dhunda kiya aaftab saya na mila Continue Reading... Share on:
aalam-o-masaib se laDa karte hainShayari By Obaidur Rahman01 Jan 2017 12:30:00 PMRubaaiaalam-o-masaib se lada karte hain har ranj ko hans hans ke saha karte hain har gham hamein paigham-e-tarab deta hai hum gham ke talabgar raha karte hain Continue Reading... Share on: