aa gaya jis ko bhi ehsas ki wahshat paDhna

aa gaya jis ko bhi ehsas ki wahshat padhna
us ne sikha hi nahin lafz-e-mohabbat padhna

sal-ha-sal guzar jate hain padhte padhte
itna aasan kahan dars-e-sadaqat padhna

pahle is jism se har khauf ke khaliye ko nikal
tab kahin aaega aadab-e-baghawat padhna

meri fursat hi banati hai khad-o-khal mere
mujh ko padhna hai to pahle meri fursat padhna

teri aadat hai har ek khwab badan par likhna
jaanta khub hun main bhi teri aadat padhna

sar hamare kabhi sajdon se na uthte hargiz
hum ko sach-much mein jo aata teri rahmat padhna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close