aangan mein aangan hai na dalan ye ghar kaisa hai

aangan mein aangan hai na dalan ye ghar kaisa hai
us ke har kamre mein shaitan ye ghar kaisa hai

pukhta us ke dar-o-diwar dariche raushan
aur mujrim hain nigahban ye ghar kaisa hai

yan makinon ke dilon se hain umangen ghaeb
aur dimaghon mein hain hizyan ye ghar kaisa hai

koi rishton ka taqaddus hai na hurmat ka khayal
bahami pyar ka fuqdan ye ghar kaisa hai

jis se miliye nazar aata hai ba-zahir khush-haal
andar andar se pareshan ye ghar kaisa hai

kya isi ghar mein raha karte the mere ajdad
jis ke har goshe mein tufan ye ghar kaisa hai

dar-o-diwar se uthne lagi nafrat ki lapat
har taraf maut ka saman ye ghar kaisa hai

nafsi-nafsi ka sa aalam hai yahan chaar taraf
kuchh batao to meri jaan ye ghar kaisa hai

khud to koshish nahin karta hai samajhne ki 'sahar'
puchhta phirta hai nadan ye ghar kaisa hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close