aankhon mein KHwab aur rag-o-pai mein KHun nahin

aankhon mein khwab aur rag-o-pai mein khun nahin
laila-o-dasht hai magar ab wo junun nahin

ye iztirab aur bhi badhta hai ruh mein
ab khwab mein bhi mujh ko mayassar sukun nahin

tinka sa ban ke rah gae hain sath-e-ab par
hum bahna chahte the ai dariya pa yun nahin

khali padi hui hai meri kaenat-e-dil
gham bhi koi bacha hua ab ke darun nahin

tufan-o-barshgal se go purza purza hai
kashti ka baadban magar sar nigun nahin

aawaz mar rahi hai magar shahr mein 'figar'
koi malul-e-harf ki mayyat pe kyon nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close