aashiq the shahr mein jo purane sharab ke

aashiq the shahr mein jo purane sharab ke
hain un ke dil mein waswase ab ehtisab ke
wo jo tumhaare hath se aa kar nikal gaya
hum bhi qatil hain usi khana-kharab ke
phulon ki sej par zara aaram kya kiya
us gul-badan pe naqsh uth aae gulab ke
soe to dil mein ek jahan jagne laga
jage to apni aankh mein jale the khwab ke
bas tishnagi ki aankh se dekha karo unhen
dariya rawan-dawan hain chamakte sarab ke
okada itni dur na hota to ek din
bhar late sans sans mein gul aaftab ke
kis tarah jama kijiye ab apne aap ko
kaghaz bikhar rahe hain purani kitab ke
This is a great late reply shayari. True lovers of shayari purani yaad will love this. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close