aks ja-ba-ja apni zat ke giraata hai

aks ja-ba-ja apni zat ke giraata hai
kaun aasmanon se aaine giraata hai

main ne rup dhaara hai us ki ruh ka aur wo
mere naqsh hi mere samne giraata hai

umr bhar uthaega dukh mere bikharne ka
aankh ki bulandi se kyun mujhe giraata hai

shoala-e-mohabbat aur aab-e-ashk ai nadan
raushni ko dariya mein kis liye giraata hai

wo hawa ka jhonka bhi mera sakht dushman hai
shakh se jo patte ko zor se giraata hai

jazb kar na le 'jafar' soch lahr ki tujh ko
tu kahan samundar mein kankare giraata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close