dard sa uth ke na rah jae kahin dil ke qarib meri kashti na kahin gharq ho sahil ke qarib wajd mein ruh hai aur raqs mein hai pa-e-talab dekhiye haal mere shauq ka manzil ke qarib rah gaya tha jo kabhi pa-e-talab mein chubh kar ab wahi khar-e-tamanna hai rag-e-dil ke qarib ab wo piri mein kahan ahd-e-jawani ki umang rang maujon ka badal jaata hai sahil ke qarib jazba-e-shauq bhi kuchh kaam na aaya 'hadi' na-tawani ne bithaya mujhe manzil ke qarib