apne ehsas se bahar nahin hone deta raaz zahir bhi ye mujh par nahin hone deta khauf-e-ruswai se kar deta hai hairan aisa meri aankhon ko samundar nahin hone deta mom kar deta hai jab laut ke aa jata hai mujh ko furqat mein wo patthar nahin hone deta dekhta hun to kabhi chand kabhi phul hai wo apni surat mujhe azbar nahin hone deta ji mein hai ud ke chala jaun jahan rahta hai wo mera ghar bhi mera ghar nahin hone deta jab bhi milta hai to bas tut ke milta hai mujhe apne gham ka mujhe khugar nahin hone deta ruth bhi jate hain 'jafar' to mana lene mein mujh ko apne se wo behtar nahin hone deta