amanat saunp kar buniyaad bhi hashr-afrin rakh di jahan se ek mutthi khak uthai thi wahin rakh di na aaya aah aansu ponchhna bhi gham ke maron ko nichodi bhi nahin aankhon pe yunhi aastin rakh di dhuen ki chadaren kaisi wo shoale ab kahan hamdam rida-e-sabr mein tah kar ke aah-e-atishin rakh di namaz-e-ahl-e-ulfat be-niyaz-e-dair-o-kaba hai gawahi di jahan dil ne wahin hum ne jabin rakh di jahannam gul hua ye kin gunahgaron ke aansu the har angare par ek buniyaad-e-firdaus-e-barin rakh di hansi aai hai kya kya mere zauq-e-abdida ko na daman se thame aansu to us ne aastin rakh den 'siraj' un ki nazar mein aaj thi to kuchh hararat si chhupa ke dil mein shayad koi chingari kahin rakh di