anjam shab-e-gham ka likha aur hi kuchh hai

anjam shab-e-gham ka likha aur hi kuchh hai
lagta hai ki manzur-e-khuda aur hi kuchh hai

shayad abhi tashkhis-e-maraz ho nahin pai
bimari hai kuchh aur dawa aur hi kuchh hai

sab pyar ki tashhir kiya karte hain lekin
mahaul hai kuchh aur faza aur hi kuchh hai

na-fahm agar naghma samajhte hain to samjhen
gulshan mein anadil ki nawa aur hi kuchh hai

gahwara-e-har-shakh mein gul hai abhi bechain
gulshan ki abhi aab-o-hawa aur hi kuchh hai

har gam pe chubhne lage kyon panw mein kante
niche rawish-e-gul ke bichha aur hi kuchh hai

duniya mein har ek shai ke muqaddar mein hai jalna
jalne ki magar sab ki ada aur hi kuchh hai

malum hai jalta hai charaghon mein faqat tel
lekin teri mahfil mein jala aur hi kuchh hai

honton pe tabassum liye phirte raho 'kausar'
chehre pe magar haal likha aur hi kuchh hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close