apni aankhon se to dariya bhi sarab-asa mile

apni aankhon se to dariya bhi sarab-asa mile
jo bhi naqd-e-jaan lutane aae hum se aa mile

ab wafa ki rah par har samt sannata mile
ahl-e-dil ke karwan kin manzilon se ja mile

lap pe gar naghma nahin palkon pe hi tara mile
gul nahin khilte to koi zakhm hi khilta mile

rang-o-bu ke pairahan mein phul hain ya zakhm hain
ab na wo kaliyan na wo patte na wo saya mile

imtihan tha maslahat thi ya meri taqdir thi
main gulistanon ka talib tha mujhe sahra mile

umr-bhar har ek se main ne chhupae dil ke dagh
aaj ye hasrat ki koi dekhne wala mile

main ne jin aankhon mein dekhe the samundar maujzan
un mein jo bhi dubne wala mile pyasa mile

naz us ka pasban andaz us ka ham-zaban
khalwaton mein bhi wo mujh se anjuman-ara mile

aaj phir chhedunga main mahtab ki kirnon ke tar
kash imshab to mile ya koi tujh jaisa mile

aankh sau rangon ki talib hosh sau rangon ka zakhm
dil ko ye zid hai ki teri aarzu tanha mile

ajnabi rahen bhi 'sadiq' ajnabi rahen na thin
jab kisi ke jaane-pahchane nuqush-e-pa mile


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close