dard-e-dil bhi gham-e-dauran ke barabar se uTha

dard-e-dil bhi gham-e-dauran ke barabar se utha
aag sahra mein lagi aur dhuan ghar se utha
tabish-e-husn bhi thi aatish-e-duniya bhi magar
shoala jis ne mujhe phunka mere andar se utha
kisi mausam ki faqiron ko zarurat na rahi
aag bhi abr bhi tufan bhi saghar se utha
be-sadaf kitne hi dariyaon se kuchh bhi na hua
bojh qatre ka tha aisa ki samundar se utha
chand se shikwa-ba-lab hun ki sulaya kyun tha
main ki khurshid-e-jahan-tab ki thokar se utha
Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close