dard-e-dil bhi kabhi lahu hoga koi arman to srukh-ru hoga aarzu koi bar na aaegi yahi anjam-e-arzu hoga dekh kar mere dil ki barbaadi kaun shaida-e-rang-o-bu hoga aaine mein hamein wo dekhenge aaina un ke ru-ba-ru hoga hum na honge to ai gham-e-jaanan kis ko yara-e-arzu hoga kuchh to farmaen aap tum ya tu kuchh to andaz-e-guftugu hoga un ke andaza-e-karam ke liye har nafas waqf-e-arzu hoga tab-e-nazzara-e-jamal kise ek main hunga ek tu hoga mere aate hi bazm saqi mein sab ke lab par subu subu hoga harf-e-matlab zaban pe kyun aae ye to izhaar-e-arzu hoga manzilon se guzar ke bhi 'sahir' dil ka maqsud justuju hoga