dard ko hum zindagi ka kaif-o-kam kahte rahe

dard ko hum zindagi ka kaif-o-kam kahte rahe
khamushi ke saz par rudad-e-gham kahte rahe

gosh-bar-awaz puri bazm mein koi na tha
dastan-e-arzu kahne ko hum kahte rahe

intiha-e-yas mein chalte rahe be-muddaa
dekhne wale hamein sabit-qadam kahte rahe

dil fareb-e-zindagi mein be-tarah uljha raha
ishq ko aazad patthar ko sanam kahte rahe

kam-sawadon ko masiha na-khudaon ko khuda
bud ko nabud hasti ko adam kahte rahe

apne khun se dastan-e-gham raqam karte rahe
lauh-e-dil ko nok-e-khanjar ko qalam kahte rahe

aarzu ke kitne but-khane the is dil mein nihan
'arsh' jis dil ko sabhi taq-e-haram kahte rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close