dard thamta hi nahin sine mein aaram ke baad hum to jalte hain charaghon ki tarah sham ke baad bas yahi soch ke akasr main laraz jata hun jaane kya hoga mera hashr ke hangam ke baad ishq kar baithe magar hum ne ye socha hi nahin khak ho jaenge hum ishq ke anjam ke baad likh ke kaghaz pe tera nam qalam tod diya koi bhaya hi nahin mujh ko tere nam ke baad gham ke sailab mein phir bah gaya maskan mera chain paya hi tha ek barish-e-alam ke baad mere qatil ne meri lash pe dam tod diya wo pasheman tha bahut qatl ke ilzam ke baad hum ne sikha hai hunar fath-o-zafaryabi ka azm apna hai jawan koshish-e-nakaam ke baad sang-sari-o-malamat hue ab apne nasib hum to barbaad hue kucha-e-asnam ke baad kya khizan aai ki barbaad hua sara chaman rah gai aah-o-fughan gulshan-e-gulfam ke baad