wo but pari hai nikalen na baal-o-par tawiz

wo but pari hai nikalen na baal-o-par tawiz
hain donon bazu pe is ke idhar udhar tawiz

wo hum nahin jo hon diwane aise kaamon se
kise pilate ho pani mein ghol kar tawiz

uthega phir na kaleje mein mitha mitha dard
agar likhe mere dil par teri nazar tawiz

kahan wo log ki jin ke amal ka shohra tha
kuchh is zamane mein rakhta nahin asar tawiz

pilaya sanp ko pani jo man nikal liya
nahane baithe hain choti se khol kar tawiz

wahan gaya jo koi dil hi bhul kar aaya
rakhe hain gad ke us ne idhar udhar tawiz

pas-e-fana bhi mohabbat ka silsila na mita
tere gale mein hai aur meri qabr par tawiz

ye bhed hai ki na murde daren farishton se
bana ke qabr banate hain qabr par tawiz

ye kya ki zulf mein rakkha hai bandh kar mera dil
use bhi ghol ke pi jao jaan kar tawiz

jo chand se hain badan hain wo chand taron mein
gulon mein haikalen haikal ke ta-kamar tawiz

hue hain hazrat-e-'mail' bhi dil mein ab qail
kuchh aisa likhti hai ai jaan teri nazar tawiz


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close