hai mera rang-e-sukhan rang-e-bayan kuchh mukhtalif ye nashat-e-dilbari tarz-e-fughan kuchh mukhtalif dekhiye kis rah par chalta raha hai karwan hain hamare raston par ye nishan kuchh mukhtalif jo hamare zikr ko hum se bhi poshida rakhe ab hamein bhi chahiye ek raaz-dan kuchh mukhtalif ek an-jaani si chup hai chaar su phaili hui chahiye ai mehrban! ek ham-zaban kuchh mukhtalif hai nashat-e-wasl se sarshaar aalam hi sabhi hum magar is hijr mein hain shadman kuchh mukhtalif hum sunaen 'shahida' kis tarz se kis rang se hai kahani mukhtalif ye dastan kuchh mukhtalif