dekhti aankhon ne dekha hai shabistanon mein

dekhti aankhon ne dekha hai shabistanon mein
jazba marne ka abhi zinda hai parwanon mein

kitna pur-haul hai mahaul shab-e-furqat ka
khun bhi khushk hua jata hai shiryanon mein

kaam aaya na gala phadta ai shaikh tera
nazar aati hain wahi raunaqen mai-khanon mein

sitam-e-taza pe yun shukr-e-sitam karta hun
jaise ek aur izafa hua ehsanon mein

ai 'wafa' ahl-e-zaban ki hai inayat ye bhi
ki shumar aaj hamara hai zaban-danon mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close