dhaar si taza lahu ki shabnam-afshani mein hai

dhaar si taza lahu ki shabnam-afshani mein hai
subh ek bhigi hui palkon ki tabani mein hai

aankh hai labrez shayad ro padega tu abhi
jaise zillat ka mudawa aankh ke pani mein hai

main nahin haara tu mere hausle ki dad de
ek naya azm-e-safar is khasta-samani mein hai

be-samar be-rang mausam barf ki surat safed
aur dil umde hue rangon ki tughyani mein hai

aag hai sine mein tere maujzan tu yaad rakh
shama si raushan andhere ghar ki virani mein hai

an-ginat rangon ke par bikhre pade hain har taraf
waqt ka ghayal parinda phir se jaulani mein hai

kis ghane jangal mein ja kar ab chhupen basti ke log
aankh si ubhri hui suraj ki peshani mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close