saliqe se agar toden to kante tut jate hai magar afsos ye hai phul pahle tut jate hai mohabbat bojh ban kar hi bhale rahti ho kandhon par magar ye bojh hatta hai to kandhe tut jate hain bichhad kar aap se ye tajraba ho hi gaya aakhir main aksar sochta tha log kaise tut jate hai meri auqat hi kya hai main ek nanha sa aansu hun bulandi se to gir kar achchhe achchhe tut jate hain bahut din maslahat ki qaid mein rahte nahin jazbe mohabbat jab sada deti hai pinjre tut jate hain ziyaada kaamyabi bhi bahut nuqsan deti hai phalon ka bojh badhne se bhi paude tut jate hai sitam ye hai main us raste pe nange pair chalta hun jahan chalte hue logon ke jute tut jate hai