dil par yunhi choT lagi to kuchh din KHub malal kiya

dil par yunhi chot lagi to kuchh din khub malal kiya
pukhta umr ko bachchon jaise ro ro kar behaal kiya

hijr ke chhote ganw se hum ne shahr-e-wasl ko hijrat ki
shahr-e-wasl ne nind uda kar khwabon ko pamal kiya

uthle kuen bhi kal tak pani ki daulat se jal-thal the
ab ke baadal aise sukhe naddi ko kangal kiya

suraj jab tak dhaal raha tha sona chandi aankhon mein
bhid mein sikke khub uchhaale sab ko mala-mal kiya

lekin jab se suraj duba aisa ghor andhera hai
sae sab madum hue aur aankhon ko kangal kiya

sakht zamin mein phul ugate to kahte kuchh baat hui
hijr mein tum ne aansu bo kar aisa kaun kamal kiya

aakhir mein 'ansari'-sahab apne rang mein dub gae
us ko dua di us ko chheda shahr abir gulal kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close