is shahr ke log ajib se hain ab sab hi tumhaare asir hue jab jaan pe baraste the patthar us waqt hamin dil-gir hue kuchh log tumhaari aankhon se karte hain talab hire moti hum sahra sahra dub gae ek aan mein jogi faqir hue tum dard ki lazzat kya jaano kab tum ne chakhe hain zahr-e-subu hum apne wajud ke shahid hain sangsar hue shamshir hue ye pahron pahron soch-nagar raaton raaton be-khwab lahar phir kaise katega dhup-safar jab pir luti jagir hue ek umr guzari hai yun hi sayon ke taaqub mein hum ne tuk baith gae phir chal nikle hans bol liye dil-gir hue kuchh shahr tumhaara tang bhi tha kuchh tum bhi the kamzor zara patthar ki nigahon ke dar se tum apne hi ghar mein asir hue