bhar nahin paya abhi tak zakhm-e-kari hae hae dil ko thame hain lahu phir bhi hai jari hae hae dard ka ehsas ghat jata agar chahe koi ho rahi hai aur ulte dil-figari hae hae jism to pahle hi zakhmi tha magar baqi tha dil ab adu ke hath mein khanjar hai bhaari hae hae hijr mein waise bhi aati hai musibat jaan par par raqibon ki alag hai khanda-kari hae hae reza reza kar diya zalim ne sare jism ko ud rahi hai khak pairon par hamari hae hae dil girafta ho ke chup baithe hain shayad is tarah rahm aae dekh kar surat hamari hae hae dast-e-qatil said banne se nahin rukta kabhi hai abas be-chaargi-o-ah-o-zari hae hae jo parinde ud nahin sakte ab un ki khair ho aane wala hai isi jaanib shikari hae hae rah se patthar utha kar su-e-zalim phenk de gar nahin tiron ki tujh mein zarb-kari hae hae ek qibla ek azan aur ek majlis ek imam kash aa jae samajh mein ye tumhaari hae hae