dil saf ho to jalwa-gah-e-yar kyun na ho aaina ho to qabil-e-didar kyun na ho aalam tamam us ka giraftar kyun na ho wo naz-pesha ek hai ayyar kyun na ho mustaghyana to jo kare pahle hi suluk aashiq ko fikr-e-aqibat-kar kyun na ho rahmat ghazab mein nisbat-e-barq-o-sahab hai jis ko shuur ho to gunahgar kyun na ho dushman to ek taraf ki sabab rashk ka hai yan dar ka shighaf-o-rakhna-e-diwar kyun na ho aayat-e-haq hain sare ye zarraat-e-kaenat inkar tujh ko howe so iqrar kyun na ho har-dam ki taza marg-e-judai se tang hun hona jo kuchh hai aah so yak-bar kyun na ho mu-e-safed hum ko kahe hai ki ghafilan ab subh hone aai hai bedar kyun na ho nazdik apne hum ne to sab kar rakha hai sahal phir 'mir' is mein murdan-e-dushwar kyun na ho