ghairon se bhi dhoke khae hain apnon se bhi dhoke khae hain

ghairon se bhi dhoke khae hain apnon se bhi dhoke khae hain
tab ja ke kahin is duniya ke andaz samajh mein aae hain

wo apni jafa-e-paiham par dam bhar bhi agar sharmae hain
ehsas-e-wafadari ko mere pahron pachhtawe aae hain

hum mein na mohabbat ki garmi hum mein na sharafat ki narmi
insan kahen kyon sab hum ko hum chalte phirte sae hain

kuchh phul gulon ke haar bane kuchh jins sar-e-bazar bane
in phulon ki qismat kya kahiye shakhon hi pe jo murjhae hain

sahra-e-khirad mein hairan hain kal qafila-ha-e-rahrawan
munh mod liya hai suraj ne har samt andhere chhae hain

ehsan ba-har-haalat hum par hai un ki badalti nazron ka
jine ke sahaare ulfat mein kuchh khoe hain kuchh pae hain

ummid ne phir karwat li hai badle hain faza ke phir tewar
ab dekhiye kya barsate hain kuchh baadal ghir kar aae hain

hum dost nahin dushman hi sahi bhai na sahi beri hi sahi
hamsae ka haq to do hum ko hum kuchh bhi na ho hamsae hain

wo qadr karen ya thukra den ye ahl-e-nazar ki marzi hai
ambar se khar-o-khas ki 'raza' kuchh moti chun kar lae hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close