girte hue jab maine tera nam liya hai

girte hue jab main ne tera nam liya hai
manzil ne wahin badh ke mujhe tham liya hai

mai-khwar to hai mohtasib-e-shahr ziyaada
rindon ne yunhi muft mein ilzam liya hai

wo mil na sake yaad to hai un ki salamat
is yaad se bhi hum ne bahut kaam liya hai

har marhala-e-gham mein mili is se tasalli
har mod pe ghabra ke tera nam liya hai

tujh sa koi rahbar nahin ai duri-e-manzil
ehsan tera hum ne bahr-gam liya hai

ai shaikh dil-e-saf yunhi to nahin milta
hum ne asar-e-ru-e-dil-aram liya hai

sajdon mein wo pahli se halawat nahin 'kausar'
jab se asar-e-gardish-e-ayyam liya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close