hamesha dil mein jo apne KHayal-e-zulf-o-kakul hai

hamesha dil mein jo apne khayal-e-zulf-o-kakul hai
to sine mein nafas har ek mauj-e-bu-e-sumbul hai

fasan hai sakht-jaani meri tegh-e-naz-e-qatil ko
ki yan jitna hai ranj-e-naza utna wan taghaful hai

mujhi ko kuchh tu apne kuche mein aane nahin deta
wagarna ai sitam-ijad har gulshan mein bulbul hai

teri mina-e-gardan ki sifat ki hai jo ai saqi
meri aawaz ko kahte hain sab aawaz-e-qulqul hai

wahi dil hai bhara ho nashsha jis mein jam-e-wahdat ka
ki hai chhati ka patthar bazm mein shisha jo be mul hai

mare jo soz-e-gham se jal ke ho wo nek-nam aakhir
charagh-e-murda ko aksar yahi kahte hain sab gul hai

diya saman-e-gulshan hum ko hijr-e-rashk-e-gulshan ne
pareshani hai sumbul nala bulbul dagh-e-dil gul hai

likhi hain wasf yan tak nargis-e-makhmur saqi ki
hai khama gardan-e-mina sarir-e-khama qulqul hai

badha kar rabt kyunkar kam na munh dikhlae wo mah-ru
hua jab mah-e-kaamil din pe din us ko tanazzul hai

bahati hai kahin bhi mauj-e-naqsh-e-boriya khas ko
na dega na-tawan ko ranj jo sahab tahammul hai

kaha us gul ne kul saman-e-gulshan mein bhi ratta hun
jo aashiq hai mera nalon se wo ham-chashm-e-bulbul hai

khat-o-rukhsar-o-chashm-o-zulf dikhla kar laga kahne
ye raihan hai ye gul hai aur ye nargis hai ye sumbul hai

khayal-e-zulf-e-jaanan mein jo roun to uge sumbul
'wazir' aansu mera har ek goya tukhm-e-sumbul hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close