hamari is wafa par bhi dagha ki qasam khai thi o kafir khuda ki wo musht-e-ustukhwan hun ai sag-e-yar agar khae saadat hai huma ki lab-e-shirin ka jo bosa liya tha meri us ki shakar-ranji raha ki wafa se main ne bhi ab hath uthaya qasam hai mujh ko apne bewafa ki hui gar sulh bhi to bhi rahe jang mila jab dil to aankh us se lada ki faqiron ke qadam lete hain sultan ye hai tasir naqsh-e-boriya ki tasawwur bandh gaya jab us mizha ka to pahron dil pe barchhi si laga ki khuda yun jis ko chahe de saadat wagarna sag mein khaslat hai huma ki nahin uthta hai sar sajde se mera magar hai sajda-gah us khak-e-pa ki kahun jab main ki be tere hun marta to kahta hai wo but marzi khuda ki na aaya minnaton se yar jis dam to phir kya kya ajal ke iltija ki