han wo main hi hun ki jis ke hain yahan pursan bahut aaina hai dekh kar surat meri hairan bahut is nadi mein par utarne ke hain andeshe hazar aur is mein dub jaane ke bhi hain imkan bahut darmiyan rashk-o-hasad ke aaj bhi uljhe hain log tha garan kal bhi ilaj-e-tishnagi-daman bahut jis ghadi tuta tha donon ke talluq ka tilism aasman hairan hua tha aur zamin giryan bahut har muhajir ke ilaj-e-gham ki tarjihat mein ham-zaban mil jaana bhi hai dard ka darman bahut