har dam mere ehsas pe chhaya hai koi aur

har dam mere ehsas pe chhaya hai koi aur
likhwata koi aur hai likhta hai koi aur

aankhon se chhalak padte hain ehsas ke moti
dhage mein magar in ko pirota hai koi aur

koshish se faqat apni bhi likh paya hai koi
hai to ye qalam mera chalata hai koi aur

bikhre hue jo mere khayalat hain in ko
ehsas se tahrir mein lata hai koi aur

likh pati hun main kab bhala jazbaat ko apne
alfaz ko kaghaz pe sajata hai koi aur

'nilam' main jahan mein to bas ek zarra hun lekin
is zarre ki auqat badhata hai koi aur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close