hijr mein gham-kash koi mujh sa nahin

hijr mein gham-kash koi mujh sa nahin
aaj tak main ne use dekha nahin

kahne wale ne to sab kuchh kah diya
sunne wala ek bhi samjha nahin

mah main kis ko sunaun haal-e-zar
khwab mein bhi wo nazar aaya nahin

jab nazar ho manzil-e-maqsud par
rok sakti rah ki iza nahin

aarzu hi us ki dil mein rah gai
hath daman tak kabhi pahuncha nahin

bazm-e-saqi mein hue wo sarfaraaz
jam jin ke hath mein chhalka nahin

wada-e-farda ki phir tafsil kar
kya kaha tu ne koi samjha nahin

hai ghazab phir sur ne chaunka diya
nind bhar kar main abhi soya nahin

apna sa munh le ke shana rah gaya
pech gesu ka koi suljha nahin

kasb har dam kuchh na kuchh karti hai ruh
jaisa kal tha aaj main waisa nahin

jo nahin mast-e-sharab-e-be-khudi
us ne lutf-e-zindagi paya nahin

jite ji apne ko kar deta tha khak
maut se marna koi marna nahin

yaad ai 'betab' rakhna yar ko
par hai beda agar bhula nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close