khatak ne dil ki diya zakhm-e-be-nishan ka pata na us dahan mein fughan thi na tha zaban ka pata sar-e-niyaz jhukane ki khu to paida kar jabin-e-shauq laga legi aastan ka pata sitam daba na saka aap ke shahidon ko jafa mita na saki khun-e-be-kasan ka pata rag-e-burida pukaregi nam qatil ka kafan bataega us tegh-e-khun-chakan ka pata isi qadar to hai sarmaya-e-tajassus-e-aql ki kuchh zamin ki khabar hai kuchh aasman ka pata dil-e-tapan tha kahin chashm-e-khunfishan thi kahin qadam qadam pe mila kucha-e-butan ka pata asir-e-dam-e-mohabbat se puchhiye 'betab' kamand turra-e-mushkin-e-dilsitan ka pata