hum apne kheton mein hosh boenge fasl-awar hawas denge

hum apne kheton mein hosh boenge fasl-awar hawas denge
zamin ke nange badan ko aakhir pahad kab tak libas denge

farosh-gahon se jins-e-taza kabhi ki nayab ho chuki hai
ye kar ba-iztirab chamke hum apni jaanon ki ras denge

hum aab-bardosh dainon ke gale mein kante utar denge
ki un ke honton se khun barse kuchh aisi shiddat ki pyas denge

hararat-o-bardat ki khoji hawaen mahw-e-safar rahengi
badalti rut ki khabar hamesha tuyur-e-mausam-shanas denge

har aae mausam mein konpalon ko sipas-bar-awari milega
to shakh-e-na-warda-e-samar ko saza-e-radd-e-sipas denge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close