humse kya KHak ke zarron hi se puchha hota

hum se kya khak ke zarron hi se puchha hota
zindagi ek tamasha hai to dekha hota

dekhte gar hamin aalam ko ba-andaz-e-digar
aur hi dasht-e-junun mein dil-e-ruswa hota

kya kiya ahl-e-mohabbat ne magar tere liye
hum ne ek sahn-e-chaman aur bhi dhunda hota

tum bhi hote mai-o-naghma bhi dil-e-shaida bhi
aur aise mein agar abr barasta hota

hans ke ek jam pilata koi diwane ko
pyar to hota magar kahe ko sauda hota

tazkire hote rahe chaak garebanon ke
han teri bazm-e-tarab mein koi aisa hota

tishna-lab kaun hai go jam na aaya hum tak
daur ek aur chala khun-e-jigar kya hota

khak ne kitne bad-atwar kiye hain paida
ye na hote to usi khak se kya kya hota

is se milna hi ghazab ho gaya warna 'anjum'
dar-ba-dar phirne ka jhagda bhi na uttha hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close