fareb gham hi sahi dil ne aarzu kar li bura hi kya hai agar teri justuju kar li ghalat hai jazba-e-dil par nahin koi ilzam khushi mili na hamein jab to gham ki khu kar li bitha ke samne tum ko bahaar mein pi hai tumhaare rind ne tauba bhi ru-ba-ru kar li wafa ke nam se darta hun ai shah-e-khuban tum aae bhi to nazar jaanib subu kar li kahan se aaenge andaz be-panahi ke abhi se jeb-e-tamanna agar rafu kar li zamana de na saka fursat-e-junun 'anjum' bahut hua to ghadi bhar ko ha-o-hu kar li