jo shab bhar aansuon se tar rahega sahar dam daman-e-dil bhar rahega ilaj us ka guzar jaana hai jaan se guzar jaane ka jaan se dar rahega hua mushkil tere aashiq ka jina tere kuche mein aa kar mar rahega dil-e-wahshi ne kab aaram paya sitam ki aag mein jal kar rahega hayat-e-jawedan ho ya ki duniya tera banda tere dar par rahega na ho isyan to kaisa hashr ka din kahan phir dawar-e-mahshar rahega haqaeq se jo dil uljha hua hai wahi khwabon ka surat-gar rahega koi to khair ka pahlu bhi nikle akela kis tarah ye shar rahega na bazm-e-mai-kada baqi rahegi na dast-e-shauq mein saghar rahega jo din hai aane wala be-aman hai qadam ghar se agar bahar rahega koi to aazmi-sahib ko samjhao ye gosha shahr se behtar rahega