ishq-e-nakaam ka dastur tumhein kya malum tum ho us se had bahut dur tumhein kya malum gham ki duniya se ho tum dur tumhein kya malum aah kyon karte hain majbur tumhein kya malum zakhm-e-dil khugar-e-azar ka badhte badhte kis tarah banta hai nasur tumhein kya malum khatm hone ko hai hangama-e-tufan-e-hayat dard kyon hota hai kafur tumhein kya malum ishq-e-sar-josh ne kya dil pe sitam tode hain nashsha-e-husn se ho chur tumhein kya malum tum alag ho gae parde se gira kar bijli kis pe kya guzri sar-e-tur tumhein kya malum apne sheron mein ada karke tumhaari shokhi ho gaya 'jurm' bhi mashhur tumhein kya malum