jab apne naghme na apni zaban tak aae

jab apne naghme na apni zaban tak aae
tere huzur hum aa kar bahut hi pachhtae

khayal ban na saka naghma garche hum ne use
hazar tarah ke malbus-e-lafz pahnae

ye husn-o-rang ka tufan hai maaz-allah
nigah jam na sake aur thak ke rah gae

jo dard uthe bhi to izhaar us ka ho kyunkar
huzur-e-husn agar aawaz baith hi jae

hate nazar se na furqat ki dhup mein 'azad'
kisi ki sumbul-e-shab rang ke ghane sae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close