jab ek gul-ezar ki sohbat mein aa gaya

jab ek gul-ezar ki sohbat mein aa gaya
aariz ka rang meri tabiat mein aa gaya

apni raza se jis ne marasim badhae the
arz-e-talab pe wo bhi nazakat mein aa gaya

ji ke zarar ko kaun uthata hai aaj-kal
is dil ko dad de ki mohabbat mein aa gaya

phirta hun dahr mein liye ye dosti ka hath
lagta hai main bhi ku-e-malamat mein aa gaya

be-dil se ek kar ke wafa yun laga mujhe
ye hath ek machine ki khidmat mein aa gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close