jism ka ghar hi gira hai to na jaan thahregi yaad aai bhi kisi ki to kahan thahregi thak ke baitha hun magar zindagi bhagi jae main chala jaunga to umr-e-rawan thahregi us ke dar se jo uthe shahr se phir kya matlab kisi sahra mein hi ab naql-e-makan thahregi bhul kar bhi na bhulana use ai dil warna ye subuk-doshi bhi ek bar-e-garan thahregi khud pe har rut ko guzarte hue dekha tha magar kya khabar thi ki yahin ek khizan thahregi