gulon ko chum kar aai saba si lagti thi thi ek nazar pe moattar hawa si lagti thi main zakhm zakhm tha lekin gulab hathon mein badi thi chot to lekin zara si lagti thi wo tursh-go lab-e-jaan-bakhsh bhi tha kya kahiye ki talkh baat bhi us ki dawa si lagti thi sitam ko husn-e-sitam kar gaya wahi warna yahi thi zindagi lekin saza si lagti thi meri tadap ko samajhta tha ek ibaadat wo mujhe bhi us ki mohabbat dua si lagti thi chalo wo aankh mein pani to de gaya warna ye sans andhe kuen mein sada si lagti thi