jab wo mah-e-ruKHsar yakayak nazar aaya

jab wo mah-e-rukhsar yakayak nazar aaya
us mah ki talat sun suraj dil mein dar aaya

tere rukh-e-raushan kun siyah khat mein sirijan
dekha so kaha abr-e-siyah mein qamar aaya

gulshan mein chal ai sarw-e-sahi sair ki khatir
tujh waste le gul tabaq-e-naqd-e-zar aaya

tujh jam-e-nayan mein hai ajab baada-e-sarshaar
yak did sati jis ke ho dil be-khabar aaya

muhtaj-e-kabutar nahin mujh shauq ka nama
qasid ho mera dil le sajan ki khabar aaya

kahte hain sab ahl-e-sukhan is sher kun sun kar
tujh taba mein 'daud' 'wali' ka asar aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close