hum dasht-e-be-karan ki azan ho gae to kya wahshat mein ab ki bar ziyan ho gae to kya basi ghutan se ghar ke andhere na kam hue hum raat jugnuon ki dukan ho gae to kya uljhan badhi to chand kharabe kharid lae saude mein ab ki bar ziyan ho gae to kya ghar mein hamare qaid raha zindagi ka shor hum be-zaban nazr-e-fughan ho gae to kya hum hain hamara shahr hai pukhta makan hai kuchh maqbare nasib-e-khizan ho gae to kya sat-rang aasman ki dhanak hai tumhaare sath hum daldali zamin yahan ho gae to kya jab dhup aasman ke hujre mein so gai aaseb tirgi ke jawan ho gae to kya patjhad ne jab se mang sajai hai apni 'rind' hum suni rahguzar ka nishan ho gae to kya