jauhar nahin hamare hain sayyaad par khule

jauhar nahin hamare hain sayyaad par khule
le kar qafas ko ud gae rakkha jo par khule

shishe sharab ke rahen aathon pahar khule
aisa ghire ki phir na kabhi abr-e-tar khule

kuchh to hamein haqiqat-e-shams-o-qamar khule
kis kaj-kulah ke ishq mein phirte hain sar khule

insaf ko hain dida-e-ahl-e-nazar khule
parda utha ki parda-e-shams-o-qamar khule

rangrez ki dukan mein bhare hun hazar rang
turra wo hai jo yar ki dastar par khule

kya chiz hai ibarat-e-rangin mein sharh-e-shauq
khat ki tarah tabiat-e-basta agar khule

jo chahen yar se kahin aghyar gham nahin
khwaja ko hain ghulam ke aib-o-hunar khule

haiwan par aadmi ko sharaf nutq se hua
shukr-e-khuda kare jo zaban-e-bashar khule

yusuf ki ek dukan mein na tu ne talash ki
bazar kaun kaun se ai be-khabar khule

shirin-dahan se tere tajjub hai guftugu
eajaz hai agar girah-e-naishakar khule

kat jae wo zaban na ho jis se dua-e-khair
phute wo aankh jo ki na waqt-e-sahar khule

kotah hai is qadar mere qad par rida-e-aish
dhankun jo panw ko to yaqin hai ki sar khule

qatil jaza-e-khair mile teri tegh ko
zakhmon ke munh khule nahin jannat ke dar khule

fasl-e-bahaar aai hai chalta hai daur-e-jam
mugh ki dukan sham khule ya sahar khule

pa-posh hum ne mari hai dastar-o-taj par
sauda-e-zulf-e-yar mein rahte hain sar khule

kaif-e-sharab-e-nab ka anjam ho ba-khair
shalwar-band saqi-e-rashk-e-qamar khule

na-khwanda sharh-e-shauq jalae gae khutut
bandhe gae wo jo ki mere nama-bar khule

chahe safa tu sath tahaarat ke zikr kar
parhez kar to tujh ko dawa ka asar khule

hans kar dikhae dant jo hum ko to kya hua
le lijiye jo qimat-e-silk-e-guhar khule

kahta hun raaz-e-ishq magar sath shart ke
kanon hi tak rahe na zaban ko khabar khule

mushtaq bandishon ke hain khwabon ko chahiye
bandhwaen shaeron se jo un ki kamar khule

rukti na us se chot na chalti ye qatila
hathon se tere jauhar-e-tegh-o-sipar khule

matlab na sarnawisht ka samjha tu shukr kar
diwana ho jo haal-e-qaza-o-qadar khule

chalna padega yar ki khidmat mein sar ke bal
samjhe ho kya jo baithe ho 'atish' kamar khule


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close