jo likhna chaha na likh paya main KHuda afsos

jo likhna chaha na likh paya main khuda afsos
so rah gaya meri tahrir mein khala afsos

har ek khwab ko ashkon se dhaar kar main ne
jo dekha dil to dikha ja-ba-ja pada afsos

bisat-e-jaan mein raha raqs khwahishon ka magar
chhalak ke aankhon se ashkon ne kah diya afsos

ajab nahin hai tu kya hai koi batae mujhe
yahan pe jo bhi mila mil ke ye kaha afsos

main apne hathon se ban ban ke ret jab nikla
to mera saya bhi kahte hue chala afsos

utha ke lai jo taqdir aaine ke huzur
to darj chehre pe aur aaine mein tha afsos

jo aks main ne ubhaara tha dil ke kaghaz par
qadam qadam pe nadamat wahi bana afsos

main khwahishon ke janaze ko padh ke ghar aaya
kisi ke chehre pe khushiyan kisi ke tha afsos

wo ek mauj-e-'nasimi' thi wahshat-e-dil ki
kisi ke hijr mein jis ko baha diya afsos

likha hua tha muqaddar mein pi gaya khul kar
to kaise kah dun ke pi kar mujhe hua afsos


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close