kabhi idhar jo sag-e-ku-e-yar aa nikla guman hua mere virane mein huma nikla rukh us ka dekh hua zard nayyar-e-azam sunahre burj se jis dam wo mah-laqa nikla wo sun ke pak mohabbat ka nam kahte hain hamari jaan ko lo ye bhi parsa nikla hamare panw pade aa ke aable har gam kabhi jo dasht-e-junun mein barhana-pa nikla mah-e-siyam mein aaya jo wo hilal-abru guman hua ye mujhe chand id ka nikla jahan ki sair to ki tu ne lekin ai shah-e-husn kabhi faqir ke takiye pe tu na aa nikla na nikla wahm ke mare wo ghar se bhi 'sayyah' gali se yar ke tabut jab mera nikla