batata hai mujhe aaina kaisi be-rukhi se ki main mahrum hota ja raha hun raushni se kise ilzam dun main raegan hone ka apne ki sare faisle main ne kiye khud hi khushi se har-ik lamhe mujhe rahti hai taza ek shikayat kabhi tujh se kabhi khud se kabhi is zindagi se mujhe kal tak bahut khwahish thi khud se guftugu ki main chhupta phir raha hun aaj apne-ap hi se wo be-kaifi ka aalam hai ki dil ye chahta hai kahin ru-posh ho jaun achanak khamushi se sukun-e-khana-e-dil ke liye kuchh guftugu kar ajab hangama barpa hai teri lab-bastagi se talluq ki yahi surat rahegi kya hamesha main ab ukta chuka hun teri is waraftagi se jo chahe wo sitam mujh par rawa rakkhe ye duniya mujhe yun bhi tawaqqoa ab nahin kuchh bhi kisi se tere hone na hone par kabhi phir soch lunga abhi to main pareshan hun khud apni hi kami se raha wo multafit meri taraf aur in dinon mein khud apni samt dekhe ja raha be-khudi se koi khush-fikr sa taza-sukhan bhi darmiyan rakh kahan tak dil ko bahlaun main teri dilkashi se karam tera ki ye mohlat mujhe kuchh din ki bakhshi magar main tujh se rukhsat chahta hun aaj hi se wo din bhi the tujhe main walihana dekhta tha ye din bhi hain tujhe main dekhta hun bebasi se abhi 'irfan' aankhon ko bahut kuchh dekhna hai tumhein be-rang kyun lagne laga hai sab abhi se