kaTa na koh-e-alam humse kohkan ki tarah

kata na koh-e-alam hum se kohkan ki tarah
badal saka na zamana tere chalan ki tarah

hazar bar kiya khun-e-arzu hum ne
jabin-e-dahr pe phir bhi rahe shikan ki tarah

sawad-e-shab ki ye tanhaiyan bhi dasti hain
ye chandni bhi nazar aati hai kafan ki tarah

tamam shahar hai begana log na-manus
watan mein apne hain hum ek be-watan ki tarah

khayal-e-dost na hasrat na aarzu na ummid
ye dil hai ab kisi ujde hue chaman ki tarah

sukun-e-qalb to kiya hai qarar-e-jaan bhi luta
tumhaari yaad bhi aai to rahzan ki tarah

ajab nahin ki sar-e-shahr-e-arzu 'nadir'
hamara dil bhi jale sham-e-anjuman ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close