ai umr-e-naz tujh ko guzare guzar na tha hum boriya-nashinon ka koi bhi ghar na tha duniya-e-hast-o-bud mein mere siwa tujhe sab qabil-e-qubull the main mo'atabar na tha ye dil jo mere sine mein bajta hai raat-din wo dard sah chuka hai ki jo mukhtasar na tha ek chand ro raha tha sar-e-asman-e-ishq taron ki anjuman mein koi chaaragar na tha ye shor-o-ghalghala hai ki lutta hai mai-kada kya wan pe koi 'ghaalib'-e-ashufta-sar na tha the andarun-e-zat kai lakh hadsat lekin tumhaari yaad se dil be-khabar na tha imkan chahaar su tha safar ka magar 'qamar' tanha khada hua tha koi ham-safar na tha